03 December, 2011

Sakina! Ham nahi hongey

.

Sakina! ham nahi hongey
Yeh kehte the, Shah-e-muztar, Sakina! ham nahi hongey
Wo waqt aayega, ab tumpar, Sakina! ham nahi hongey


Yeh kehte the, Shah-e-muztar, Sakina! ham nahi hongey

Lagegi aag, jal jaayenge khaymein bhi, qanaatein bhi x2
Banana Khaak ko bistar, Sakina! ham nahi hongey



Mere seene, pe soney ke bajaaye, dekho so jaana x2
Phupi Amma ke zaanu par, Sakina! ham nahi hongey


Basadarma, jo maine donon kaanon me, pinhaye they x2
Chinenge jab aah gauhar, Sakina! ham nahi hongey

Lahu kaanon se barsega, tamaachey tumpe barsenge x2
Phirayi jaogi dar dar, Sakina! ham nahi hongey

Tumhari maa phuphi behnon ke sar se, aah cheeney jo x2
Koi maqna, koi chaadar, Sakina! ham nahi hongey


Kabhi naukey se, gir jaogi rastey me, to godi me x2
Uthalegi meri maadar, Sakina! ham nahi hongey


Yeh kehte the, Shah-e-muztar, Sakina! ham nahi hongey
Wo waqt aayega, ab tumpar, Sakina! ham nahi hongey

.
.



Abbas Kahan Ho

.

Abbas kahan ho
Abbas kahan ho

Kehte the Shah-e-deen
Mere Abbas Kahan ho
Abbas kahan ho
Abbas kahan ho

Tanhaan hu khada dasht-e-bala mein baradar
Dekho zara aa kar
Dekho zara aa kar
Paala tha jinhe naazon se, sootey hain, kahaan ho

Abbas kahan ho
Abbas kahan ho

Dikhta nahi ab aakho se, har su hai andhera
Dam rukta hai mera
Dam rukta hai mera
Deta sadaayein Ali Akbar mera mujhko

Abbas kahan ho
Abbas kahan ho

Seeney me jawaan laal ke barchi ki ani hai
Tharrati zameen hai
Tharrati zameen hai
Uljha hua barchi me na, Akbar ka jigar ho

Abbas kahan ho
Abbas kahan ho

Seeney se sina kheench ke, Akbar ke sirhaaney
Is dasht-e-bala me
Is dasht-e-bala me
Takta hu ba-sajda se, dam tortey usko

Abbas kahan ho
Abbas kahan ho

Haathon pe ugalta hai lahu Asghar-e-be-sheer
Gardan be laga teer
Gardan be laga teer
Kya keh ke tasallee du main, dar pe kharee maa ko

Abbas kahan ho
Abbas kahan ho

Nanhi si lehed me Ali Asghar ko lita kar
Mitti pe sula kar
Mitti pe sula kar
Uthta hu kabhi girta hu, thaamey hue dil ko

Abbas kahan ho
Abbas kahan ho

Jaata hu Raah-e-haq me gala apna kataaney
Khaliq ki raza mein
Khaliq ki raza mein
Ab Shimr ka khanjar, meri gardan pe rawaan ho

Abbas kahan ho
Abbas kahan ho

Chalti thi siyaah aandhiya, khoon bikhra tha har su
Jab khol ke gesu
Jab khol ke gesu
Ek laash-e-pureeda pe ye, maa kehti thi ro ro

Abbas kahan ho
Abbas kahan ho

.

http://www.youtube.com/watch?v=onN8RVsMM7g&feature=related
http://www.youtube.com/watch?v=xY4nP0Ps_t8&feature=related




.