03 December, 2011

Sakina! Ham nahi hongey

.

Sakina! ham nahi hongey
Yeh kehte the, Shah-e-muztar, Sakina! ham nahi hongey
Wo waqt aayega, ab tumpar, Sakina! ham nahi hongey


Yeh kehte the, Shah-e-muztar, Sakina! ham nahi hongey

Lagegi aag, jal jaayenge khaymein bhi, qanaatein bhi x2
Banana Khaak ko bistar, Sakina! ham nahi hongey



Mere seene, pe soney ke bajaaye, dekho so jaana x2
Phupi Amma ke zaanu par, Sakina! ham nahi hongey


Basadarma, jo maine donon kaanon me, pinhaye they x2
Chinenge jab aah gauhar, Sakina! ham nahi hongey

Lahu kaanon se barsega, tamaachey tumpe barsenge x2
Phirayi jaogi dar dar, Sakina! ham nahi hongey

Tumhari maa phuphi behnon ke sar se, aah cheeney jo x2
Koi maqna, koi chaadar, Sakina! ham nahi hongey


Kabhi naukey se, gir jaogi rastey me, to godi me x2
Uthalegi meri maadar, Sakina! ham nahi hongey


Yeh kehte the, Shah-e-muztar, Sakina! ham nahi hongey
Wo waqt aayega, ab tumpar, Sakina! ham nahi hongey

.
.



No comments:

Post a Comment